Blogger or WordPress konsa best hain
Blogger or WordPress konsa best hain

So,hey dosto aaj ke yeh neya post ke aandar aapka swagat hain aaj ke yeh new post ke aandar main aap saabko batane ja  raha hu aapke liye konsa sabse best hoga blogging karne ke liye blogger ya wordpress dosto aaksar hamko yeh sochne main bohut time nikal jata hain ham kaha par aapne website ko build kaare blogger par ya fir wordpress par.

to aaj ke yeh post ke aandar main aapko deeply samjhaounga saab koch puri jaankari ke saath fir aap soch lena aapke liye konsa platform sahi rahega blogger ya fir wordpress.to chaliye shuru karte hain aab.

Beggiers (new) member ke liye konsa sahi hain :-

Agar aap blogging field main new hu to meri khayal se aapko blogger ka use karna cahiye. kyu ke aagar aap jaate hu wordpress par to fir iske  liye aapko cahiye hoga ek hosting + domain aapko aise bohut saare website mil jayega jaha se aap hosting or domain le sakte ho.Domain ke price aapko per year ke hisab se dena padhta hain or hosting ke aapko per month ke.

 aapko hosting or domain milake 2000 se upar padhne wala hain ( depend  karta hain aap konsa domain or konsa hosting plan lete ho ). or dosto maine begginers ke liye blogger isiliye rakha kyu ke jab aap iss field main new hain taab to aapke pass paisa bhi nhi hoga hosting ke liye aagar aap blogger par koch time dekar income karke fir wordpress par convert kar sakte hain.

Blogger or WordPress konsa best hain
Blogger or WordPress konsa best hain

Blogger kiske liye hain :-

Dosto blogger saabke liye hain lekin aapko blogger par waise website degine ya  waise facility  shayed aapko na mil paaye.kyu blogger par aapko wo saab koch nhi milega jo aapko wordpress ke aandar milega.aagar aap blogging main new hu or aap cahate ho choti moti blog,website banake earnig karna or information share karna then aap blogger ko use kar sakte ho.

Lekin aap blogger ko life time tak use nhi kar sakte ho.kyu ke jaise jaise aap aapke website par kam karenge or website bhi rank hota rahega tab aapko blogger ko close karke aapko aapke website ko wordpress par shift karna hoga kyu ke maine pehle he aapko bata diya hain ke aapko blogger par wo saare tols ya aapko wo saare facility nhi diya jata hain jo aapko ek wordpress par dekhne ko milta hain.
_________________________________________________________________________________
Also Read This :

  • Add multiple site in one Adsense
  • Net Banking क्या है? 
  • what is google?
  • Amazon carding किया है?
  • Monitor किया है? What is Monitor in Hindi

________________________________________________________________________

WordPress kiske liye hain :-

Dosto blogger to saabke liye hain lekin main yeh nhi bolunnga ke wordpress saabke liye hain kyu ke blogger ek free platform hain jaha par aapko bass ek domain b> lekar or ek free template lekar work kar sakte hain.lekin wordpress par aisa nhi hain  wordpress par aane ke liye aapke cahiye ek badiya hosting ek domain aapko  blogger main jo yeh hosting hain wo aapko nhi lag raha hain aap ek domain ko lekar aage  ja sakte hain,or hosting ka bhi bohut kharcha aata hain.aagar aapke pass paise hain
aap cahate hain invest karna or aapko jaldi se success hona hain then aapko wordpress par most welcome hain.fir yeh aapke liye ek sahi platform hain.

Blogger free domain :-

Dosto aagar aap cahate ho without invest karke aapko earning karna hain or aapko domain name bhi nhi buy karna cahate hain to fir aapko blogger use karna sahi rahega. kyu ke dosto aapko India main aise bohut saare website mil jayenge jinka blogger ka blogspot  domain hain jo free domain hain iske sath wo log zero investment karke lakho income kar raha aise main India main ek website bhi hain jinka blogger par site bana hua hain or oska bhi blogger ka blogspot domain hain and wo monthly ke one lakh se bhi jayda income karta hain or oski site bhi bohut rank hain.

Blogger or WordPress konsa best hain
Blogger or WordPress konsa best hain

WordPress free domain :-

aagar aap cahate ho wordpress ka jo free domain name hain iske sath work karna then aap maat karo aapka time waste mat karo.aap blogger par to blogspot ka use karke earning kar sakte ho lekin aap wordpress par nhi kar sakte ho maine aapko pehli he bata diye wordpress premium or pro logo ke liye hain.blogging ke field main aapko pehle blogger use karna hain then aap koch income karke hosting wagera le kar wordpress par aao. to ghuma firake aapko hosting lena hain or aap cahate ho invest karna to aapko blogger par jaane ke jarorat nhi hain aap sidha wordpress par aa sakte hain.
_________________________________________________________________________
Also Read This :

  • Blogger ke liye best app
  • what is bitcoin ?
  • what is share market

_______________________________________________________________________________________________

Blogger facility :-

Dosto main aapko pehle he bata chuka hu blogger par aapko wo facility nhi mil sakta hain jo aapko wordpress par milega.aap blogger main koyi bhi plugins use nhi kar sakte hain. blogger main aap jayda koch customization nhi kar sakte hain.blogger par aapko saare tols nhi milta hain.

blogger par aapko high quality theme nhi milta.blogger par aapko post karte time seo karne ke liye jayda koch nhi diya gaya hain.blogger main bohut time lagta hain rank karane main.blogger main aapka jayda mehnat hain.

Blogger par SEO kaise kaare 

WordPress facility :-

Dosto aapko wordpress par bohut saare facility mil jata hain.aap wordpress par plugin install kar sakte ho.aapko wordpress par bohut saare tools diya jata hain.aapko post ke time wordpress par seo ke liye bohut saara tools or option mil jata hain.aap wordpress ke aandar acche se customization kar sakte hain.aapko wordpress par bohut he accha or premium quality ke theme mil jata hain or wordpress par kisi nhi type ka website degine kar sakte hain

wordpress par rank karane ke liye jayda mehnat nhi hain aapko aise bohut saare seo plugin mil jata hain jisse aaoko assani se rank ho jata  hain or wordpress par mehnat bhi kam hain.

Comparison
Blogger
  • Blogger par aap ko Hosting ke jarurat nhi hai.
  • Blogger par aapko SEO ke liye koch tools nhi milta hai.
  • Blogger par aapko Plugins install karne ko nhi milta hai.
  • Blogger par aapko High quality theme nhi milta hai.
  • Blogger par aap subdomain ke sath kaam kar sakte hai.
  • Blogger par aapko Free SSL milta hai.
  • Blogger me saab koch HTML hota hai.
  • Blogger free hai.
  • Blogger par aap 100 se jayda admin add nhi kar sakte ho.
  • Blogger par aap Adsense ko safe nhi rakh sakte hai.
  • Blogger par aapko aapke site control ke liye Cpanel nhi diya jata hai.
  • Blogger ka hosting kabhi bhi down nhi hota hai.
WordPress
  • WordPress chalane ke liye aapko Hosting ke jarorat hota hai.
  • WordPress par aapko SEO ke liye bohut saare tools available hota hai.
  • WordPress par aap Plugins install kar sakte hai.
  • WordPress par aap high quality theme laga sakte hai.
  • WordPress par aap subdomain ke sath kar sakte hai lekin koyi fayda nhi hai.
  • WordPress par aapko free SSL nhi milta hai,aapko hosting ke sath ya alag se buy karna hota hai.
  • WordPress free nhi hai kyu ke isme aapko chalane ke liye Hosting jaruri hai.
  • WordPress par aap multiple admin rakh sakte hai.
  • WordPress par aap easyly aapke Adsense ko plugins ke jariye safe rakh sakte hai.
  • WordPress par aapko control karne ke liye Cpanel milta hai.
  • WordPress par aapki hosting down ja sakta hai aagar aapki hosting powerfull nhi hai to.

Note:  Jo log bolte hai Blogger par site rank nhi hota hai,to yeh saabwrong hai,aagar aapka aapke site ka SEO improvement karenge to aapka site 110% aapka site rank karega. 


Conclission

to dosto last main bass itna he bolna cahata hu aagar aapke pass paisa nhi hain invest karne ke liye fir aap pehle blogger se start kariye.or aagar aap cahate hain invest karna to fir aap direct wordpress se bhi kar sakte hu.

or dosto last main bass itna he bataounga post aagar pasand aaye or helpful raha hain to please comment karke bataye or share jaror kariye,thank you for reading.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *