Domain name kya hota hain
Domain name kya hota hain ?

Intro :


Domain name kya hota hain,hey dosto aaj ke yeh post ke aandar ham saabhi janenge  Domain name kya hota hain ? main kousish karunga main aapko iske baare main puri  jankari de sako or aapko acche se samjha saku,mujhe ummid hain yeh post ke baad aapko Domain name se related or koyi question hoga aagar fir bhi aapko koyi bhi question hota hain aap hamko comment ke jariye bataye main kousish karunga aapko oske baare main bhi post de kar help karu or aapko samjhao, to chaliye aaj ke new post ko start kariye.

Domain name kya hota hain
Domain name kya hota hain ?


Domain kiya  hain :-

Domain name ka matlab aap jaror jante hain jaise kisi bhi website ke name ke piche .com ,
 .in , .net aisa likha hua hota hain isko kehte hain domain name.Domain name jab aap kisi
 bhi website ya blog ko build karte hain taab aapko ek Domain name ka jarorat hota hain isse
 aapka website ka look or rank badhta hain,aagar aap soch rahe hain ek website ko build karna
taab aapko ek domain name jaror lena cahiye.

Domain name lene ka kya fayda hain :-

Domain name lene ka bohut fayda hota hain. aagar aapke ek website hain or aap waha par
logo ko information share karte hain taab aagar koyi bhi member jab aapke website par
aata hain tab wo aapke domain name par search kar sakte hain.jaise mera website hain
voxin aagar aap google par jaake mere website ko search karenge taab aap directly mere
website par aa jayenge.to yeh hota hain domain name ka fayda or isse aapke website ka
rank badhta hain,aapke website ko professsional look deta hain or aapko google adsense
ka aaproval bhi jaldi milti hain.

Domain name kaha se le :-

Domain name ke liye aapko bohut saare aise website mil jayenge jaha se aap domain  name
buy kar sakte hain. ex : Go daddy , Hostgator , hostinger , namecheap , etc. aapko aise
bohut saare website mil jayenge or aap kisi se bhi domain le sakte hain.lekin main aapko
recomended karunga aap Go daddy se domain name buy kare kyu ke Go daddy ko chalana bohut
he aasan hain or aapko waha par bohut he acche se Domain name ke DNS setting ko manage
kar sakte hain, baaki aapko jaha par bhi rate kam mile aap waha se le sakte hain.

Free Domain name se kya hota hain :-

Domain name kya hota hain
Domain name kya hota hain ?

Aagar aap soch rahe ho ek free Domain name ko use karna to aap kar sakte ho lekin iske liye
aapko koch condition hain.aagar aap cahate hain Website se earning karna google ke ad lagake
fir aap free domain name ka use mat karna kyu ke free domain name par google adsense approval
nhi deta.Or aagar aap website par new ho aap serf sikhna cahate ho to fir aap try kar sakte ho.
ya fir aap cahate ho other kisi Advertising platform ka ad net work use karke paie kamayenge
to bhi aap kar sakte ho.Or ek baat ka dhiyaan rakhna aapko .com , .in aisa domain free main
nhi milega aapko .tk , .ga , .ml aisa type ka milega.

Domain name kitne rupay ka hain :-

Domain name kitne rupay ka hain wo depend karta hain aap konsa domain name lete hain.Aagar aap
.com domain lete hain to yeh aapko thoda mehenga padega or .com ki value bhi bohut jayda hain.
aagar aap .in lete hain to aapko thoda sa kam main milega aise main aap jo bhi domain name lena
cahate hain wo le sakte hain aagar aap ek dam professional website banana cahate hain to aap .com
le sakte hain nhi to aapko cheap rate par bhi bohut saare domain name mil jayega jaise .xyz , .co
aise bohut saare mil jayega aapko jo bhi pasand hain or aapka jitni budget hain oske aandar aap
le sakte hain.

Domain name life time ke liye hain :-

Domain name aapko eisa nhi ke aap ekbar domain name buy kar liya fir aapko yeh life time ke liye
milega aisa nhi.aap agar isko 1 year ke liye lena cahate hain to aapko 1 year ke liye pay karna
hoga or fir next year se aapko isko renew karana padega firse paise dekar , aab aisa nhi ke aapko
first time 1 year ke liye lena hain aap cahte to 2 year , 3 year ke liye bhi le sakte hain.

Domain name kya hota hain
Domain name kya hota hain ?

Konsi domain par approval jaldi milta hain :-

konsi domain name par approval jaldi milta hain, yeh bohut he jarorat hota hain kyu ke google
aapko sabhi domain ko approval nhi deta hain.Aagar aap use karte ko free ka domain tab aapko
approval nhi milega or aagar aap domain name buy karte ho tab aapko approval milta hain.aab
konsi domain par jaldi hota hain,aagar aap ek high quality ka domain use karte hain jaise .com
.in , .net , .info , aise top level domain par jaldi mil jata hain or aagar aap .xyz , .co 
aise domain ko use karenge to aapko thoda late hoga approval ke liye aapko minimum 10 se 15
days tak wait karna padhta hain.Lekin aapko 100% approval milega aagar aap google ke rules ko
follow karte ho to.

Conclusion :-

Or dosto last main itna he khena cahata hu ke aagar aapko Domain name kya hota hain iske related
aapko koyi bhi question ho ya koch bhi janna ho aap hamko comment karke jaror bataye.Or aapko
kaise post cahiye wo bhi batana ummid hain aapko aajke yeh neya post jaror pasand aaya hoga,or
aapko koch neya sikhne ko mila hoga.Thnaks for your valuable time.

Leave a Reply

Your email address will not be published.